Monday, February 16, 2009


Har shama ke mom pighal gaye
Maa ke hatho mein who dhal gaye

Jalaya maa ke hatho ne chirag ghar ke
Par chulhe ki aag se maa ke hath jal gaye

Jin haato ne poche aasoo meri aakho ke
kapade dhote-dhote paani mein gal gayee

chaale pade maa ke hathoo mein itne ki
chale ka dard maa ke hath bhul gayee

uthe hath duao ke liye jab bhii maa ke
na jane kitanoo ki takdeer badal gayee

neend jab bhii nahiii aayii raato mein ”@@tish” ko
mere sar par hath ferate na jaane maa ke kitane pal gaye

No comments: