Monday, February 16, 2009

talash asal zindagi kii


guzar raha tha mein yuhii
tanhaa rastoo se apne man
ko tatol raha tha ki tabhi
mere man mein mujhe ik
roshanii nazar aayiii
meine dhyaan se dekha
toh woh merii antar-atma thi
jo mere gunaaho ka bhaar
liye meri taraf dekh rahii thi
mein samajh nahii paa raha tha
ki aakhir ye itnii niraash
udaas thaki thakii si kyun hain
ekaek woh mujhse bolii
yaad aagayii merii
meine kaha aapko toh
mein kabhi bhula hi nahi
woh boli toh us din kyun
tu us bacche ko rota chod gaya
jo sadak par ik rupiya maang raha tha
kyun us budhiya se nazare bacha raha tha
jo mandir ki taraf pith tikaye baithi thi
mere paas in baato ka koi jawab nahi tha
mein stabd ye sarii baate sun raha tha
tabhi woh boli mujhase ki jaa laut jaa
apnii zindagii mein jaha tujhe fursat nahi hain
jaha tu jhootii hasii hasta jhoota rota hain
gar waqt mile tujhe toh aana mere paas
bataungi ki asal jinaa kaisa hota hain
itna kehkar woh kahii gayab ho gayii
mein dhoondata raha use par woh nahi mili
uskii bato se man ko laga kya wakai hum
jhooti dikhwatii zindagii ji rahe hain
tabse lekar aaj tak mein asal zindagi
ki talash kar raha hoon
janata hoon jis pal mujhe zindagii milegii
us pal antar-aatmaa mujhe phir dikhegiii

No comments: