
जिस प्यार पर ऐतबार था वो भी ना रहा
जिसके लिए दिल बेकरार था वो भी ना रहा
उसने मेरी मोहब्बत आसुओ के साथ बहा दी
उसकी आखो में जो इंतज़ार था वो भी ना रहा
अब तो साकी ने भी जाम देने से मना कर दिया
पूरे शहर में इक यार था वो भी ना रहा
तुझसे मोहब्बत करना इक पेशा सा बन गया था
उम्र कटाने के लिए यही रोज़गार था वो भी ना रहा
बहुत रोकने के बावजूद आज आँसू निकल ही गए
अपनी आखो पर इख्तियार था वो भी ना रहा
****************************************
jis pyaar par aitbaar tha woh bhi na raha
jiske liye dil beqarrar tha woh bhi naa raha
usne meri mohabaat aasou ke sath baha dii
uski aakho mein jo intezaar tha woh bhi na raha
ab toh saki ne bhi jaam dene se mana kar diya
pure shahar mein ik yaar tha woh bhi na raha
tujhe mohabbat karna ik pesha sa ban gaya tha
umra katane ke liye yahi rozgaar tha woh bhi na raha
bahut rokane ke baawjood aaj aasoo nikal hi gaye
apni aakho par ikhtiyaar tha woh bhi na rahaa
1 comment:
for # @tish #
Deep emotions comes out from d heart, but ur deepest emotions are comes out from your eyes.... which can be easily felt by your
"kuch lafz mere apne" that is from your nazms n gazals.........beautiful....
from # your wellwisher #
Post a Comment