Tuesday, February 24, 2009

अरमान दफ्न करने के काबिल हैं






























नींद
की जगह आसुओ से आँख बोझिल हैं
आज पता चला की रात कितनी तावील हैं

मेरे करीब आकर सब यु पलट जाते हैं
जैसे हम ,हम नही कोई तन्हा साहिल हैं

जिसे हम अपनी जागीर समझते थे
आज वो किसी और को हासिल हैं

मोहब्बत दफ्न की उसने संग-मरमर में
वो आशिक शायद बड़ा ही संगदिल हैं

कभी मोहब्बत बसा करती थी दिल में
पर अब ये अरमान दफ्न करने के काबिल हैं

****************************************
*
Neend ki jagah aasou se aakh bojhil hain
Aaj pata chala ki raat kitanii tavil hain

Mere karib aakar sab log yu palat jate hain
Jaise hum hum nahi koi tanhaa sahil hain

jise hum apni jaagir samajhate the
aaj woh kisi aur ko hasil hain

Mohaabat dafn kii usne sang-marmar mein
Woh aashiq shayad bada hii sang-dil hain

Kabhii mohaabat basa kartii thii dil mein
Ab ye sirf armaan dafn karne ke kabil hain

आ नज़्म लिखे


आ नज़्म लिखे
पर विषय क्या ले

शायद मोहब्बत
वो करने की चीज़ हैं

गम बेवफाई
अश्क तन्हाई
कलम नहीं चाहती रोना

ख़ुशी याद रिश्ते
ये अपने कहा
जो लिखे

खुदा कुदरत को
चुन ले
नज़्म लिखना हैं
कसीदे नही

ज़िन्दगी-औ-मौत
ये इक दूजे में सिमट कर
रह जाती हैं

अरे ये तो नज़्म बन गयी ???
***********************************************
aa nazm likhe
par vishay kya le

shayad mohabbat
woh karne
ki cheez hain

gum ,tanhai
ashq ,bewafai
kalam nahi chahati
rona

khushi,yaad,rishte
ye apne kaha
jo likhe

khuda kudrat ko
chun le
nazm likhna hain kaseede nahi

zindagi-0-maut
ye ik duje mein
simat kar rah jaati hain

are ye to nazm ban gayi ???

बड़े दिनों बाद


बड़े दिनों बाद
आज सब इकठ्ठे
खाना खाएंगे
पापा भी आते होंगे

चल आतिश कपडे
बदल ले
आज तेरी पसंद की
सब्जी हैं

नही माँ आज दोस्तों
के साथ बाहर खाऊँगा
आप लोग खाना खा लो
ये कहता मैं बाहर निकल गया

दरवाजा बंद करते वक़्त
माँ को देखा
मैं समझ गया

माँ इक और आरजू ने आज खुद ख़ुशी कर ली ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

***********************************************************
bade dino baad
aaj sab ikhatte
khana khayenge
papa bhi aate honge

chal aatish kapade
badal le
aaj teri pasand
ki sabji hain

nahi maa aaj
dosto ke sath
baahar khaunga
aap log kha lo
ye kehta mein
bahar nikal gaya

darwaza band karte
waqt maa ko dekha
mein samajh gaye

maa ik aur aarzo ne aaj khud-khushi kar lii.....

Saturday, February 21, 2009

ऐ कलम अब तू टूट जा


लिखा तुने हर
टूटे रिश्ते को
हर आरजू दफनाई

छीन लायी दिल के तुकडे
गिराया मुझे कागज़ पर
इक नज़्म के चक्कर में
तुने क्या क्या किया

गला घोटा शब्दों का
आह निकली हर्फो से
फिर भी तुझे चैन नही

हमेशा अपनी कही
आज मेरी इक बात सुन

ऐ कलम अब तू टूट जा .....................

****************************************
************
likha tune har
tute rishte ko
har aarzoo dafnaii

chin layi dil
ke tukade
giraya mujhe
kagaz par
ik nazm ke
chakkar me
tune kya kya kiya


gala ghota shabdo ka
aah nikaali harfo se
fir bhi tujhe chain nahi
humesha apni kahi
aaj meri ik baat sun

e kalam tu ab tut jaa ...................

Wednesday, February 18, 2009

वो भी ना रहा




















जिस प्यार पर ऐतबार था वो भी ना रहा
जिसके लिए दिल बेकरार था वो भी ना रहा

उसने मेरी मोहब्बत आसुओ के साथ बहा दी
उसकी आखो में जो इंतज़ार था वो भी ना रहा

अब तो साकी ने भी जाम देने से मना कर दिया
पूरे शहर में इक यार था वो भी ना रहा

तुझसे मोहब्बत करना इक पेशा सा बन गया था
उम्र कटाने के लिए यही रोज़गार था वो भी ना रहा

बहुत रोकने के बावजूद आज आँसू निकल ही गए
अपनी आखो पर इख्तियार था वो भी ना रहा
****************************************
****************
jis pyaar par aitbaar tha woh bhi na raha
jiske liye dil beqarrar tha woh bhi naa raha

usne meri mohabaat aasou ke sath baha dii
uski aakho mein jo intezaar tha woh bhi na raha

ab toh saki ne bhi jaam dene se mana kar diya
pure shahar mein ik yaar tha woh bhi na raha

tujhe mohabbat karna ik pesha sa ban gaya tha
umra katane ke liye yahi rozgaar tha woh bhi na raha


bahut rokane ke baawjood aaj aasoo nikal hi gaye
apni aakho par ikhtiyaar tha woh bhi na rahaa

Monday, February 16, 2009

तुम भी छत पर आ गयी हो ...


अपनी छत पर खडा
चाँद से नज़रे मिलाने लगा
दोनों तन्हाई बाट रहे थे

ख्याल हवा के साथ
भटकने लगे
सहमे आँसू पलको
से झाक रहे थे

थोड़ी देर बाद चाँद
बादलो में जा छुपा
मैं समझ गया

की तुम भी छत पर आ गयी हो .......................
***********************************************************

apni chat par khada
chaand se nazar milane laga
dono tanhaii
bat rahe the

khayal hawa ke
sath bhatakane
lage
sahame aaso palako
se jhaak rahe the

thodii der baad
chand badaloo
mein jaa chupaa
mein samajh gaya
ki
tum bhi chat par aa gayi hoo .............

हर शबिस्तान अब तेरा घर लगता हैं


हर शबिस्तान अब तेरा घर लगता हैं
तेरा दीदार भी धोका-ऐ-नज़र लगता हैं

अब मोड़ भी आते हैं कुछ ईस तरह की
हर मोड़ पर तकमील-ऐ-सफ़र लगता हैं

जब भी आख उठाते हैं ज़मी से ऊपर
फलक भी हमे कोई दीदा-ऐ-तर लगता हैं

यु बढ़ चला हैं दर्द हयात में की
अब तोह दर्द भी हम-उमर लगता हैं

जिंदादिली कभी अपनी पहचान हुआ करती थी
पर अब तोह हमे ज़िन्दगी से डर लगता हैं

**************************************
Har shabistaan ab tera ghar lagata hain
Tera didar bhi dhoka-e-nazar lagata hain

Ab mod bhii aate hain kuch is tarah ki
Har mod par takmil-e-safar lagata hain

Jab bhii aakhe uthati hain zami se upar
Falak bhii Hume koi dida-e-tar lagata hain

Yu badh chala hain Dard hayat mein ki
Ab toh Dard bhi hum-umar lagata hain

Zinda-dili kabhi apnii pehchaan hua karti thii
Ab toh Hume is zindagi se dar lagata hain

मैं रोया नही






















कई रातो से ठीक से सोया नहीं
रोना आया पर मैं रोया नही

टूटते देखे सब खाब नज़र के
पर तेरे खाबो को मैंने खोया नहीं

तिजारत भरी निगाहे ही मिली मुझे
फिर भी दिल में नफरत को बोया नही

दुनिया के लिए कभी तुझे पाया नही
पर सच कहता हूँ तुझे कभी खोया नही

मुसीबतों में हँसना आ गया हमे
अच्छा हुआ तेरे जाने पर मैं रोया नही
****************************************
kai raato se theek se soya nahi
rona aaya par mein roya nahii

tutate dekhe sab khaab nazar ke
par tere khaabo ko meine khoya nahi

tijarat bhari nazare hi mili mujhako
fir bhi dil mein nafrat ko boya nahi

duinya ke liye tujhe kabhi paya nahi
par sach kahata hoon tujhe kabhi khoya nahi

musibato mein hasna aa gaya hume
accha hua tere jane par mein roya nahi

आज यकीं हो गया बेटी बिदा कर दी















घर
की चीजे बिखरी पडी
एक अजब सी उदासी
धुल से आँगन लिपटा हुआ


कुछ सामान हटाते हुए मैं
माँ के पास गया
मुझे वो देखती रही
दोनों खामोश थे

मैं वही कोने मे
बैठ गया
माँ को देखता रहा
एकाएक माँ बोल पडी

आज यकीं हो गया बेटी बिदा कर दी

****************************************
*****************************
ghar ki cheeze
bikhari padi
ek ajab sii
udaasi
dhool se aangan
lipata hua

kuch saemaen hatate
mein maa ke paas gaya
mujhe woh dekhti rahi
dono dono khamosh the

mein wahi kone
baith gaya
maa ko dekhata hua

eka-ek maa bol padii
aaj yakin ho gaya betii bida kar dii

इंसानों को चलते देखा हैं









राह पर चलते
आज दिलकश नज़ारा देखा
बूढी उंगलिया थामे
बचपन को चलते देखा
गिरने भटकने के डर से परे
बचपन को बेखौफ उछलते देखा

हर कदम के साथ
बचपन बढ़ता रहा
बुढापा ढलता रहा
बचपन नज़ारे दौडाए
दुनिया को देख रहा था
बुढापा दुनिया से नज़ारे
चुराए चल रहा था

रास्ते बदल गए
मैं घर लौट आया
बड़े दिनों बाद आज
मुस्कराहट आई
बड़े दिनों बाद इंसानों को
चलते देखा हैं
*************************************

raah par chalate
aaj dilkash nazara dekha
budhi ungliya thame
bachpan ko chalte dekha
girne bhatakne ke dar se
pare aaj bachpan ko
bekhouf uchalate dekha

har kadam ke sath
bachpan badhta raha
budhapa dhalata raha
bachpan nazar daudaaye
duniya dekh raha tha
budhapa duniya se nazare
churae chal raha tha


raste badal gaye
mein ghar laut aaya
bade dino baad aaj
muskurahat aayi
bade dino baad
insaano ko
chalate dekhaa

Ab koi geet koi gazal gungunate nahii hai




















Ab koi geet koi gazal gungunate nahii hain
Hume dekh aab aaine bhi muskurate nahi hain

Kabhii anjaan bhii humse aake mila karte the
Ab toh apne bhi paas apne aate nahii hain

Tutate dekhe hai sab khaab haqeeqat ke aage
ki ab nigahoo mein koi khaab sajate nahi hain

Aankh bhar aati thi apni hasii ke chalte
Ab toh koi gum bhii Hume rulaate nahii hain

Masjid-o-mandiro mein har roz jaya karte the
Ab toh apne hi ghar mein hum jate nahi hain

Itanii kadawii ho chalii hain zubaa apnii
ki meethe bol ab zubaa par aate nahii hain

Zindagii ne paas aana kab se chod diya hain
Par maut ke farishte hain ki paas aate nahi hain

aag se jalte rahanaa fitarat-e-@@tish thii
par aaj deep koi ghar mein jalate nahi hain

वो ज़िन्दगी जिसके लिए मैं ज़िन्दगी जिया करता हूँ


उनके दिल मैं कैद हैं इक जिंदगी
जो अब बाहर आना चाहती हैं
चीखती हैं हमे देखकर
निगाहों से वो झाकती हैं
हम भी चाहते हैं
सामने आये वो ज़िन्दगी
जो हर घडी हर लम्हा हमे
बड़ी उम्मीद के साथ पुकारती हैं
मेरे दस्तरस में होता तो मैं
कभी ऐसा होने नही देता
मिट जाता मैं उसकी खातिर पर
कभी उसे कैद ना होने देता
अब तोह बस खुदा से यही इबादत किया करता हूँ
जिए वो ज़िन्दगी जिसके लिए मैं ज़िन्दगी जिया करता हूँ
*******************************************************
unke dil mein kaid hain zindagi
jo ab bahar aana chahti hain
chikhati hain kisi apne ko dekhkar
woh unki aankho se jhakati hain
hum bhi chahtahe hain ki
saamnne aaye woh zindagi jo
jo har gadi har lamha hume
badi umeed ke sath pukarati hain
mere dastars mein hota to
mein kabhi aisa hone na deta
mit jata mein uski khatir par
kabhi use kaid na hone deta
ab toh bas khuda se yahi ebaadat kiya karta hoon ki
jiye woh zindagi jiske liye mein zindagi jiya karta hoon

baate zindagi se



























इक
दिन ज़िन्दगी ने पूछा
की तू उदास क्यूँ हैं
खुशियों का दामन छोड़ तू
गमो के पास क्यूँ हैं
तब मैंने उसे समझाया
अपना हाल-ऐ-दिल सुनाया
वोह बोली इक बेवफा के जाने
का इतना गम मैं बोला नही
उसके जाने का नही हैं गम
उसके साथ ना जाने का हैं मातम
ना जाने किस मझदार में वोह फस जाये
लिए प्रश्न हज़ार मेरे सामने आजाये
तब मैं उससे क्या कहूंगा कैसे अपना
हाल-ऐ-दिल बाया करूंगा
ये सुन जिंदगी मुस्कुराई मेरे
करीब आकर धीरे से बोली
जिस दिन ये क़यामत होगी
उस दिन मैं तेरे साथ ना होंगी

***************************************************

ik din zindagi ne pucha
ki tu udaas kyun hain
khushiyo ka daman chod
tu gamo ke paas kyun hain
tab meine use samajhaya
apana hal-e-dil sunaya
woh boli ik bewafa ke
jane ka itna gum
mein bola nahii uske
jaane ka nahi hain gum
uske sath n jane ka hain matam
na jane kis mazadar
mein woh phas jaye
liye prashan hazar
mere samane aajaye
tab mein usase kya kahunga
kaise apna hal-e-dil baya karunga
ye sun zindagii muskurai
mere karib aakar dhire se boli
jis din ye qayamat hogii
us din mein tere sath na hongii,,,

ab waqt kam hain



































जिंदगी
में अपनी अब वक़्त कम हैं
पास तुम आजाओ की अब वक़्त कम हैं

चलता रहा रूठने मानाने का दौर
अब मान भी जाओ की अब वक़्त कम हैं

हर मुश्किल दौर से गुज़री हैं जिंदगी
अब मुश्किलें ना बढाओ की अब वक़्त कम हैं

तेरी मुस्कुराहटो के लिए तोह मर रहा हूँ मैं
तुम मुझे देख आँसू ना बहाओ की अब वक़्त कम हैं

मोहब्बत-ऐ-आजार से जार जार हुआ हूँ
अब तबीब से ना मिलाओ की अब वक़्त कम हैं

इक माँ ने ही चाही थी लम्बी उम्र अपनी
उसे मेरी हालत ना बताओ की अब वक़्त कम हैं
***************************************
zindagi mein apni ab waqt kam hain
paas tum aajao ki ab waqt kam hain

chalta raha ruthane manane ka daur
ab maan bhi jao ki ab waqt kam hain

har mushkil daur se guzari hain zindagi
ab mushkile na badhao ki ab waqt kam hain

teri muskurahto ke liye toh mar raha hoon
mujhe dekh aaso na bahao ki ab waqt kam hain

Mohabat-e-aazar se zaar zaar hua hoon
ab tabeeb se na milao ki ab waqt kam hain

Ik maa ne hi chahi hain lambi umar apnii
meri halat Na batao ki ab waqt kam hain

कल तू थी आज पास साकी हैं





















कल
तू थी आज पास साकी हैं
पिने दे मुझे अभी होश बाकी हें

दिल्लगी में टूटने के बावजूद
दिल को धड़कने का जोश बाकी हैं

मेरी आखो में जो तेरे सपने थे
आज तक उनका का बोझ बाकी हैं

बोल दे जो भी तुझे बोलना हैं
की सुनने को मेरे गोश* बाकी हैं

अब हर सांस आती हैं ये बताने "आतिश"
की अभी मौत की खोज बाकी हैं

गोश -कान ,ears
**********************************************
Kal tu thi aaj paas saki hain
Pila de mujhe abhi hosh baki hain

Dillagi mein tutane ke baad bhi
Dil mein dhadakane ka josh baki hain

Meri aakho mein jot tere sapne the
Aaj tak unka bojh baki hain

Bol de jo bhi tujhe bolana hain
Ki sunane ko mere gosh baki hain

Har saans aati hain ye batane “aatish”
Ki abhi maut ki khoj baaki hain

maut se mulaqat hain..


























अब
बिगडी तकदीर हैं बिगडे हालत हैं
ईस ज़िन्दगी में कौन अपने साथ हैं

वोह दिखता हैं तोह लुट जाता हैं
हम छुपाते हैं तोह बर्बाद हैं

यु ज़ख्म लगे बरस बीत गए
पर लगता हैं कल ही की बात हैं

रात में जागे हैं हम इतने ज्यादा की
अब तोह स्याह काली अपनी हयात हैं

मैं भी खुश नहीं तू भी उदास हैं
हमारे दरमियान ये कैसे हालत हैं

जिसे भी मिलना हो जल्दी से मिल लो
बहुत जल्द मौत से "आतिश"-ऐ-मुलाक़ात हैं

*******************************************
Ab bigadi takdeer bigade halat hain
Is zindagi mein kaun apne sath hain

woh dikhaataa hain toh lut jata hain
Hum chupate hain toh barbaad hain

Yu toh zakhm lage Baras bit Gaye
Par lagata hain kal hi ki baat hain

Raat mein jage hain hum itane zyada
Ki ab toh syaah kalii apni hayat hain

Mein bhi khush nahi tu bhi udaas hain
Humare darmiyaan ye kaise halat hain

Jise bhi milana hoo jaldii se aakar mil lo
Bahut jald maut se @@tish-e-mulaqat hain..

ना जाने कहा चल पड़ा सफ़र जिंदगी का




















ना
जाने कहा चल पड़ा सफ़र जिंदगी का
अब ना जाने क्या होगा हशर ज़िन्दगी का

अपनी साँसों से ये आग भड़क चुकी हैं
अब तोह जलकर ही रहेगा घर ज़िन्दगी का

मुझमे तोह कोई जगह बाकी ना रही
अब तोह तुझमे ही होगा बसर ज़िन्दगी का

किसी को अपना जाम हम देते नही हैं
की उसमे भी मीला हैं ज़हर जिंदगी का

पल दो पल के लिए मेरे पास आजा ज़िन्दगी
मेरे सिवा कौन पोछेगा दीदा-ऐ-तर ज़िन्दगी का
*********************************************

kaha chal pada ye safar zindagii ka
ab na jane kya hoga hashar zindagii ka

apni saansoo se ye aag bhadak chukii hain
ab toh jalakar hi rahega ghar zindagi ka

mujhme toh koi jagah baaki na rahi hain
ab toh tujhme hi hoga basar zindagii ka

kisi ko apna jaam hum dete nahii hain
ki usme bhii mila hain zahar zindagi ka

pal do pal ke liye mere paas aaja zindagii
mere siwa kaun pochega dida-e-tar zindagi ka

हम बड़े हो गए हैं


सब कहते हैं हम बड़े हो गए हैं
पर क्या वाकई हम बड़े हो गए हैं
पहले बेकाम घर मैं दौड़ते थे
अब बेकाम दुनिया मैं दौड़ते हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
पहले बारिश में भीगते रहते थे
अब बारिश से बचाते रहते हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
पहले खिलोनो को तोड़ मुस्कुराते थे
अब ख्वाब तोड़ मुस्कुराते हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
पहले माँ डाट कर सिने से लगाती थी
अब ना माँ डाटती हैं ना सिने से लगाती हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
अब ना कोई दर्द पूछता हैं हमसे
ना कोई मरहम लगता हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
आज किसी को तकलीफ में देखा
पर ध्यान नहीं दिया बस अपना काम करते रहे
आज लगता हैं हमे हम बड़े हो गए हैं

***********************************************

Sab kehte hain hum ab bade ho gaye hain
Par kya wakaii hum ab bade ho gaye hain
Pehle bekaam ghar mein dodate the
Ab bekam duniya mein dodate hain
Shayad ye bada hona hainn
Pehle baarish mein bighte rahte the
Ab chaato se barish se bachate hain
Shayad ye bada hona hain
Pehle khilono KO tod muskurate the
Ab khwaabo KO tod muskurate hain
Shayad ye bada hona hain
Maa pehle daat kar sine se laga leti thi
Ab Na ma datati hain Na sine se lagati hain
Shayad ye bada hona hain
ab naa koi mera dard puchata hain
naa ghav par marham lagata hainn
shayad ye bada honaa hain
aaj kisi ko takleef mein dekha tha
par uska haal pucha nahii humnee
naa hii us insaan par jyada dhyan diyaa
aaj lagata hain hum bade ho gayee

Har shama ke mom pighal gaye
Maa ke hatho mein who dhal gaye

Jalaya maa ke hatho ne chirag ghar ke
Par chulhe ki aag se maa ke hath jal gaye

Jin haato ne poche aasoo meri aakho ke
kapade dhote-dhote paani mein gal gayee

chaale pade maa ke hathoo mein itne ki
chale ka dard maa ke hath bhul gayee

uthe hath duao ke liye jab bhii maa ke
na jane kitanoo ki takdeer badal gayee

neend jab bhii nahiii aayii raato mein ”@@tish” ko
mere sar par hath ferate na jaane maa ke kitane pal gaye
Har shama ke mom pighal gaye
Maa ke hatho mein who dhal gaye

Jalaya maa ke hatho ne chirag ghar ke
Par chulhe ki aag se maa ke hath jal gaye

Jin haato ne poche aasoo meri aakho ke
kapade dhote-dhote paani mein gal gayee

chaale pade maa ke hathoo mein itne ki
chale ka dard maa ke hath bhul gayee

uthe hath duao ke liye jab bhii maa ke
na jane kitanoo ki takdeer badal gayee

neend jab bhii nahiii aayii raato mein ”@@tish” ko
mere sar par hath ferate na jaane maa ke kitane pal gaye

talash asal zindagi kii


guzar raha tha mein yuhii
tanhaa rastoo se apne man
ko tatol raha tha ki tabhi
mere man mein mujhe ik
roshanii nazar aayiii
meine dhyaan se dekha
toh woh merii antar-atma thi
jo mere gunaaho ka bhaar
liye meri taraf dekh rahii thi
mein samajh nahii paa raha tha
ki aakhir ye itnii niraash
udaas thaki thakii si kyun hain
ekaek woh mujhse bolii
yaad aagayii merii
meine kaha aapko toh
mein kabhi bhula hi nahi
woh boli toh us din kyun
tu us bacche ko rota chod gaya
jo sadak par ik rupiya maang raha tha
kyun us budhiya se nazare bacha raha tha
jo mandir ki taraf pith tikaye baithi thi
mere paas in baato ka koi jawab nahi tha
mein stabd ye sarii baate sun raha tha
tabhi woh boli mujhase ki jaa laut jaa
apnii zindagii mein jaha tujhe fursat nahi hain
jaha tu jhootii hasii hasta jhoota rota hain
gar waqt mile tujhe toh aana mere paas
bataungi ki asal jinaa kaisa hota hain
itna kehkar woh kahii gayab ho gayii
mein dhoondata raha use par woh nahi mili
uskii bato se man ko laga kya wakai hum
jhooti dikhwatii zindagii ji rahe hain
tabse lekar aaj tak mein asal zindagi
ki talash kar raha hoon
janata hoon jis pal mujhe zindagii milegii
us pal antar-aatmaa mujhe phir dikhegiii

दर्द कही हैं दीदा-ऐ-तर कही और हैं













































दर्द
कही हैं दीदा-ऐ-तर कही और हैं
इश्क कही हैं और असर कही और हैं

अपने घर की दीवारों में कैद हो जाता हूँ
लगता हैं ये नहीं अपना घर कही और हैं

इन पत्थरो के बुतों में खुदा नहीं दिखता
लगता हैं खुदा का असली बसर कही और हैं

शायद मुझ जैसे तुझे भी चैन नही हैं
तू कही हैं और तेरी नज़र कही और हैं

अब तोह किसी चीज़ से दर्द नहीं होता आतिश
शायद ये अपना नहीं अपना जिगर कही और हैं
*********************************************

Dard kahii hain dida-e-tar kahii aur hain
Mohabaat kahi hain aur asar kahii aur hain

Apne ghar ki diwaro mein kaid ho jata hoon
Lagata hain ye nahi apana ghar kahi aur hain

In pattharo ke butoo mein nahii khuda dikhata
Lagata hain khuda ka aslii basar kahii aur hain

Shayad mere jaise tujhe bhii chain nahii hain
Tu kahii hain aur terii nazar kahii aur hain

Ab toh kisi bhi cheez se dard nahii hota @@tish
Shayad ye mera nahi apna jigar kahi aur hain

आज फिर आखो से अश्को की रिहाई होगी














































आज फिर आखो से अश्को की रिहाई होगी
आज फिर ख़ुशी से अपनी जुदाई होगी

तेरे करीब आकर भी हम क्या करेंगे
वहा भी तोह आलम-ऐ-तन्हाई होगी

गर तोड़ दू मैं अपनी साँसों से नाता
तोह ये जिंदगी के साथ बेवफाई होगी

मेरे सिवा उसके दिल में कुछ नही हैं
तोह उसने अपनी मोहब्बत कहा छुपाई होगी

मेरे जैसे अब वोह भी नींद में मुस्कुराते होंगे
उन्होंने भी सपनो में मोहब्बत बसाई होगी

*********************************************

Aaj phir aakho se ashqo ki rihai hogi
Aaj phir khushi se apni judai hogi

Tere karib aakar bhi kya karenge hum
Waha bhi toh aalam-e-tanhaii hogii

gar tod du mein apni saanso se nata
toh ye zindagii se bewafaai hogii

mere siwa uske dil mein kuch nahi hain
toh usne meri mohabbat kaha chupai hogii

mere jaise woh bhi neend mein muskurate honge
unhone bhi sapno mein mohabbat basai hogii