Tuesday, July 8, 2014

वक़्त-ऐ-शज़र




वक़्त-ऐ-शज़र से
गिरे ज़र्द लम्हे
आज भी मेरे ज़हन
में कैद हैं

उन कदीम लम्हों को
मैं छूता भी नहीं
कही ये मेरे लम्स से
जार ज़ार ना हो जाए ,,,

तुम आओ तो
उनकी धुल हटा जाना

मेरी ज़ीस्त में नूर
की कमी हैं
इससे शायद उजाला होगा

मेरी मौत के पहले
ये कर जाना
मेरी मौत के पहले
तुम इक बार आ जाना ,,,,,,

आना ज़रूर,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
********************************************************************
waqt-ae-shazar se
gire zard lamhe
aaj bhi mere zahan
mein kaid hain

un kadeeem lamho ko
mein chutaa bhi nahi
kahi ye mere lams se
zaar zaar na ho jaye ,,,

tum aao to
unki dhool hata jana

meri zeest me noor
ki kamii hain
isase shayad ujala hoga

meri maut ke pahle
ye kar jaana
meri maut ke pahle
tum ik baar aa jana ,,,,,,

zaroor aana ,,, zaroor aana ,,,

No comments: