Wednesday, July 9, 2014

मेरे ख़त का जवाब आया




फिर से मुझे नज़र सराब आया
ऐसा लगा सामने महताब आया

नज़र उठाकर इक दूजे को हमने देखा
नज़रे मिली तो दोनों को हिजाब आया

मुकाबिल पाकर तुझे मैं चोंक सा गया
मुद्दतो बाद निगाहों मैं कोई खाब आया

मैं नशे में हु ये जान लिया हैं उसने
तभी आज खाली हाथ मेरा अहबाब आया

काशिद मुस्कुराते हुए पास आ रहा है "आतिश"
लगता हैं मेरे ख़त का जवाब आया .
**************************************************
fir se mujhe nazar saraab aayaa
aisa laga samne mehtaab aaya

nazar uthakar ik duje ko humne dekha
nazare mili to dono ko hijaab aaya

muqaabil paakar tujhe mein chok sa gaya
muddato baad nigaho mein khaab aaya

mein nashe me hu ye jaan liya hain usne
tabhi aaj khali hath mera ahbaab aaya

kaashid muskurate hue paas aa raha hain
lagataa hain mere khat ka jawaab aaya .

Tuesday, July 8, 2014

वक़्त-ऐ-शज़र




वक़्त-ऐ-शज़र से
गिरे ज़र्द लम्हे
आज भी मेरे ज़हन
में कैद हैं

उन कदीम लम्हों को
मैं छूता भी नहीं
कही ये मेरे लम्स से
जार ज़ार ना हो जाए ,,,

तुम आओ तो
उनकी धुल हटा जाना

मेरी ज़ीस्त में नूर
की कमी हैं
इससे शायद उजाला होगा

मेरी मौत के पहले
ये कर जाना
मेरी मौत के पहले
तुम इक बार आ जाना ,,,,,,

आना ज़रूर,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
********************************************************************
waqt-ae-shazar se
gire zard lamhe
aaj bhi mere zahan
mein kaid hain

un kadeeem lamho ko
mein chutaa bhi nahi
kahi ye mere lams se
zaar zaar na ho jaye ,,,

tum aao to
unki dhool hata jana

meri zeest me noor
ki kamii hain
isase shayad ujala hoga

meri maut ke pahle
ye kar jaana
meri maut ke pahle
tum ik baar aa jana ,,,,,,

zaroor aana ,,, zaroor aana ,,,

Monday, July 7, 2014

बरसात


दीवारों से रंज
रिसने लगा हैं
अश्क टपकते हैं बाम से

सुकत सन्नाटो
में तब्दील हो गयी
कोई आओ इन
सन्नाटो में
आवाज़ भरने

हर जानिब बस
इक गिला चेहरा
नज़र आता हैं

फिर ये नाम हवाए
चिराग बुझा गई

लो शुरू हो गयी
"मुफलिसों पर बरसात"
************************************************
diwaaro se ranj
risne lage hain
ashq tapakaate hain baam se

sukat sanaato
me tabdeel ho gayi
koi aao in
sanaato me
awaaz bharne

har janib bas
ik gile chehraa
nazar aata hain

fir ye nam hawaae
chiraag bujha gayii

lo shuru ho gayi
"mufliso par barsaat"