Saturday, October 10, 2009

गुलाब


मैंने उन्हें गुलाब दिया
जिसे उसने डायरी में शुमार किया

वक़्त बदला ,फिजाए बदली
ज़िन्दगी ,रिश्ते भी बदले
ना बदली तो उस गुलाब की जगह ,,,

इक अरसे बाद आज
उसने डायरी खोली ,,,
लफ्ज़ अभी तक कागज़ को
पकडे बैठे थे
गुलाब ज़ार ज़ार हो गया था

गिले हाथो से
ये दो लाईने लिखकर
उसने डायरी बंद कर दी

"वक़्त के आगे आज इक और
मोहब्बत रेज़ा रेज़ा हो गयी"
******************************************************
meine unhe gulaab diya
jise usne diary me shumar kiya

waqt badlaa, fizae badali
zindagi, rishte bhi badale
naa badali to us gulaab ki jagah,,,

ik arse baad aaj
usne diary kholii,,,
lafz abhi tak kagaz ko
pakad ke baithe the
gulaab zaar zaar ho gaya tha

gile hatho se
ye do line likhkar
usne diary band kar di

"waqt ke aagey aaj ik aur
mohbaat rezaa rezaa ho gayi"
**************************************************

मैं आज अपने दिल से मिला था


तुझसे मिलने का मौका मुश्किल से मिला था
बड़े दिनों बाद मैं आज अपने दिल से मिला था

चुपचाप तेरे नज़र के समन्दर को देखना
तेरे दीदार का ये तरीका मुझे साहिल से मिला था

तमन्ना लिए मौत की फिरा मैं दर बदर
तुझ पे मरने से पहले मैं हर कातिल से मिला था

हिलती रहती हैं रोश्निया नज़र के सामने
तेरी जुदाई में , मैं उस महफिल से मिला था.

अब ना कोई काम हैं ना कोई रास्ता बचा हैं
क्यूँ मैं वक़्त से पहले अपनी मंजिल से मिला था
***************************************
tujhse milane ka mauka mushkil se mila tha
bade dino baad me aaj apne dil se mila tha

chupchaap tere nazar ke samndar ko dekhna
tere didaar ka tareeka mujhe sahil se mila tha

tamanna liye maut ki fira mein dar badar
tujh pe marne se pahle mein har qatil se mila tha

hilati rahati hain roshniya nazar ke samne
teri judaai me , mein us mehfil se mila tha.

ab na koi kaam hain naa koi rastaa bacha hain
kyun mein waqt se pehle apnii manzil se mila tha

tum


तुने सिर्फ मुझे नहीं
औरो को भी
परेशान कर रखा हैं

चांदनी ढूँढती तुझे
सितारे पता पूछते
कल रात चाँद
ने दरवाज़ा ठक ठाकाया
मुझसे तेरे बारे
में पूछने को

मैंने उसे तुझ
पर लिखी नज्मे
पकडा दी
अब वो घटता
बढ़ता रहता हैं
पर उसे ना तुम
मिलाती हो ना
नज़्म समझ आती हैं

उसे क्या पता की
तुम ख्याल हो और
मेरी डायरी में
अल्फाज़ ओढे बैठी हो
**************************************
tune sirf mujhe
nahi auro ko bhi
pareshaan kar rakha hain

chandni dhundati tujhe
sitare pata puchate
kal raat chaand
ne darwaza thak thakaya
mujhase tere baare
me puchane ko

meine use tujh
par likhi nazm
pakda dii
ab wo ghatata
badhata rahata hain
par use na tum
milati ho na
nazm samajh aati hain

use kya pata ki
tum khayal ho aur
meri diary me
alfaaz odhe baithi ho

मेरी नज़्मो को

hand_holding_finger_bw.jpg image by livingindubiously
मेरी नज़्मो को
पढ़ते वक़्त
तुम अक्सर लफ़्ज़ो
में उलझ जाती हो
और तुम्हे नज़्म समझ
nahi आती

अब नज़्म को पढो
तो मेरी उंगली थाम
लेना मैं तुम्हे
ख्याल तक पंहुचा दूंगा,,,,,,,,
*******************************************
meri nazmo ko
padhate waqt
tum aksar lafzo
me ulajh jaati ho
aur tumhe samajh
mein nahi aati

ab nazm padho
to meri ungali tham
lena mein tumhe
khayal tak pahucha dunga,,,,,,,,

कोशिश बहुत की तुझे भुलाने की


कोशिश बहुत की तुझे भुलाने की
पर तुने भी खता की याद आने की

ना रो पाया ना हँस पाया कभी
शायद यही सज़ा थी दिल लगाने की

ग़ज़ल नहीं तो अफवाह बनकर ही पहूचू
बड़ी तमन्ना हैं तेरे कानो तक जाने की

साथ अपने जो सिर्फ मुसीबते लाते हैं
तुझे अब भी फिक्र हैं उस ज़माने की

ना दिखाओ मुझे अपने घर की रौशनी
इससे ज्यादा रोशन हैं दिवार मेरे मैखाने की
***************************************
koshish bahut ki tujhe bhulane ki
par tune bhi khata ki yaad aane ki

no ro paya na has paya kabhi
shayad yahi saza thi dil lagane ki

gazal nahi to afvaah bankar hi pahuchu
badi tamannaa hain tere kaano tak jane ki

sath apne jo sirf musibate laate hain
tujhe ab bhi fikra hain us zamane kii

naa dikhao mujhe apni ghar ki roshnii
isase jyada roshan hain diwar mere maikhane ki

राह में आज

राह में आज
तुझे देखा
तुम बहुत बदल गयी हो
अब तुम्हारी नज़रे
मुझे नहीं ढूँढती

जाना काहाँ हैं ये
जानते थे तेरे कदम
नज़र तो बस
कदम मिला रही थी
शायद तुझे डर था
की कही रास्ते
ना निगल ले ,,

मैंने सोचा तुझे
रोखकर दो बात करे
आवाज़ भी लगाई
पर वो मेरे हलक से होठो
के दरमियान ही मिट गयी

पल दो पल में तू
उफक को पार कर गयी
और मेरी नज़रे पीछे छुट गयी
तुझे देख दिल में
मोहब्बत जागी थी
वो दिल ही में मर गयी

आज पता चला की

"कब्रों में भी मोहब्बत रहा करती हैं"
************************************************
raah me aaj
tujhe dekha
tum bahut badal gayi ho
ab tumhari nazare
mujhe nahi dhoondati

jaana kaha hain ye
janate the tere kadam
nazar to bas
kadam mila rahi thi
tujhe dar tha
ki kahi raaste
na nigal le ,,

meine socha tujhe
rokhkar do baat kare
awaaz bhi lagai
par wo mere halaq se hotho
ke darmiyaan hi mit gayii

pal do pal me tu
ufaq ko paar kar gayi
aur meri nazare piche chut gayi
tujhe dekh dil me
mohbaat jagi thi
wo dil hi me mar gayi

aaj pata chala ki

"kabro me bhi mohbaat raha karti hain

ज़िद

ज़िद बचपन से
मेरे साथ रही
कभी खिलोनो
कभी मिठाई से
मान जाती

हम दोनों ने
कई बार माँ से
मार खाई
आँसू दादी के
पल्लू से पोछे

मैं बदल गया
ज़िद भी बदली

पहले ज़िद करते
खुद रो दिया करता था
अब औरो के आँसू
पोछने की ज़िद करता हूँ

आजकल सब कहने लगे हैं
मैं जिद्दी हो गया हूँ,,,,,
**********************************************
zid bachpan se
mere sath rahi
kabhi khilono
kabhi mithai se
maan jaati

hum-dono ne
kai baar maa se
maar khai
aasoo dadi ke
pallu se poche

mein badala
zid bhi badali


pehle zid karte
khud ro diya karta tha
ab auro ke aaso
pochane ki zid karta hoon


aajkal sub kehne lage hain
mein ziddi ho gaya hoon,,,,,,,

शायर

किताबो के बीच बैठकर
कुछ पढ़ रहा था की
अचानक तुम सोच
में आ गए ...

दिल नहीं लगा पढ़ने में
फिर इक कलम लेकर
तुम्हे सजाने लगा
अभी दो लफ्ज़ भी नहीं लिखे थे की
आँसू बह चले

मैं लिखता गया
आँसू बहते गए
नज़्म पूरी हुई
ख्याल अधूरे रहे ,,,

कागज़ को हाथ लगाया
तो याद आया की कुछ
आँसू ईस पर भी गिरे थे

ख्याल-ओ-लफ्ज़ में
अश्को को भूल गया मैं
आज लगा मुझको की
मैं शायर बन गया,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
**************************************************
kitabo ke bich
baithkar kuch
pad raha tha
achaanak tum
soch mein aa gaye

dil nahi laga
padhne me fir
ik kalam lekar
tumhe sajaane laga
abhi do lafz
bhi nahi likhe the ki
aasoo bah chale

mein likhata gaya
aaso behate rahe
nazm purii hui
khayal adhure rahe

kagaz ko hath lagaya
to yaad aaya ki
kuch aaso is
par bhi gire hain ,,
lafzo me aaso ko
bhul gaya mein
aaj laga mujhko ki
"mein shayar ban gaya "

अपनी खिड़की से

मैं अपनी खिड़की से
रोशनी देख रहा था
कुछ परवाने उसके आसपास
मंडरा रहे थे
वो सब नशे में थे ,,,
शायद उन्होंने रौशनी पी रखी थी,,,

मैंने मुडकर अपने
कमरे में देखा ,,,
वहा इक कीडा चकमक
घिसता कमरे में घूम रहा था,
कमरे में यही इक रौशनी थी,

मैंने कीडे को रोका और कहा
"ये क्या कर रहा हैं ??",,
वो बोला जो तुम कभी
किया करते थे वो कर
रहा हूँ ,,
बस तुम किसी और कमरे
में करते थे
मैं तेरे कमरे में कर रहा हूँ ,,,
*****************************************
mein apnii khidaki se
roshani dekh raha tha
kuch parwane uske aaspaas
mandara rahe the
wo sab nashe me the,,,
shayad unhone roshni pii rakhi thii,,,

meine mudhkar apne
kamre me dekha ,,,
waha ik kida chakmak
ghisata kamre me ghum raha tha ,
kamre me yahii ik roshni thi,

meine kide ko roka aur kaha
"ye kya kar raha hain ?",,
wo bola jo tum kabhi
karte the wo kar
raha hoon ,,
bas tum kisi aur kamre
mein karte the
mein tere kamre mein kar raha hoon,,,

Friday, October 9, 2009

चाँद पर दाग

सबने कहा चाँद पर दाग हैं
मैं नही माना

इक तन्हा रात को
मैं उससे पूछ बैठा की
"ऐ चाँद क्या तुझ पर दाग हैं"

वो बोला ये दाग नही
माँ का टिका हैं जो मुझे
दुनिया की नज़र से बचाता हैं ,,,
इंसान ईस बात को समझना
नही चाहता उसे तो कमी
निकालने की लत पड़ गयी हैं ,,,

मैं चुपचाप बैठा उसकी
बाते सुन रहा था ,,
वो बोला क्या हुआ तुम
इतने चुप क्यूँ हो गए
नज़रे झुकाकर मैं बोला
"मैं भी इक इंसान हूँ",,,,,,,,,,,,,,,,
*****************************************************
sabne kaha chaand
par daag hain ,,
par mein nahi mana

ik tanha raat ko
meine usase
puch baitha
"e chand kya tujh par daag hain?"

woh bola ye daag nahii
maa ka tika hain jo mujhe
duniya ki nazar se bachata hain
inssaan is baat ko
samjhana nahi chahata ,
use kami nikalane ki lat
pad gayii hain ,,,

mein chupchap baith
uski baate sun raha tha
woh bola kya hua tum itne
chup kyun hi gaye ,,,
nazare jhukar mein bola
"mein bhi ik insaan hoon",,,,,,,,,,,,,,,,,