Monday, February 16, 2009

Ab koi geet koi gazal gungunate nahii hai




















Ab koi geet koi gazal gungunate nahii hain
Hume dekh aab aaine bhi muskurate nahi hain

Kabhii anjaan bhii humse aake mila karte the
Ab toh apne bhi paas apne aate nahii hain

Tutate dekhe hai sab khaab haqeeqat ke aage
ki ab nigahoo mein koi khaab sajate nahi hain

Aankh bhar aati thi apni hasii ke chalte
Ab toh koi gum bhii Hume rulaate nahii hain

Masjid-o-mandiro mein har roz jaya karte the
Ab toh apne hi ghar mein hum jate nahi hain

Itanii kadawii ho chalii hain zubaa apnii
ki meethe bol ab zubaa par aate nahii hain

Zindagii ne paas aana kab se chod diya hain
Par maut ke farishte hain ki paas aate nahi hain

aag se jalte rahanaa fitarat-e-@@tish thii
par aaj deep koi ghar mein jalate nahi hain

No comments: