Thursday, March 26, 2009

दिन भर का थका आफताब गिरने लगा

दिन भर का थका आफताब गिरने लगा
रात को साथ लिए महताब संभलने लगा

जिस पल तुझसे मुलाक़ात हुई थी मेरी
देख वो पल अब खाब में बदलने लगा

धुआ धुआ सा हो गया सर्द रात में
कोई मेरी तरह तन्हाई में जलने लगा

कोई मुसाफिर तन्हा नही सड़क पर
काफिला तारो का साथ चलने लगा

करके बाहर हर अश्क की बूँद को
दर्द मेरी आखो में घुलने लगा

***********************************************
din bhar ka thakaa aftaab girne laga
raat ko sath liye mehtaab samabhalne laga

jis pal tujhase mulaqaat hui thi meri
dekh woh pal ab khaab me badalne laga

dhua dhua sa ho gaya sard raat mein
koi meri tarah tanhaai me jalane laga

koi musafir tanha nahi sadak par
kafila taaro ka sath chalane laga

karke baahar har ashq ki bund ko
dard meri aakho me ghulane laga

2 comments:

Unknown said...

jo safar ikhtiyar karte hain, wohi manzilon ko paar karte hain. bus ek baar chalne ka housala to rakhiye, aise musafiro ka to raaste bhi intejar karte hain.........

all the best n keep it up........
ur words are really very touchy.......

Deepak "बेदिल" said...

bhai ji wah...............